Tuesday, December 26, 2006

Woh kaun sa shaks tha....

woh kaun sa shaks tha,
jiske jism mein dhala hua
meri ruh ka aks tha.
woh kaun sa shaks tha....

Aasman ke baadlon mein
Atma ki gahrayion mein
dhundla sa jo naksh tha,
woh usi ka to aks tha.
Woh kaun sa shaks tha...

kabhi thamke,kabhi chalke
nabz mein,kabhi lafz mein,
pee ke ya nigal ke
ashq mein,kabhi aah mein,
karwaya jisne raqs tha ,
kaunsa woh shaks tha....

woh kaun sa shaks tha,
jiske jism mein dhala hua
meri ruh ka aks tha.

woh kaun sa shaks tha....

Monday, December 25, 2006

triveni on TASVEER

yeh jism ko pighlati hai baraf ki chadar,
seene me bechaini,dil me yaadon ke kahar,


yeh dil ki tasveer hi nahi rooh ka aina hai...

triveni on "Shahar"

kaanpte hue badan aur mooh se nikalta hai dhuan,
subha raat jaisi kaali,dil ke mausam bhi sard hai,

shahar chupchaap,yahaan ab sahar kahaan hoti hai...

Triveni on"agaaz" & "anjaam"

mil chuki hoon tujhhse kayi dafaa kayi jagaah sanam,
Phir bhi chahat dhadakti hai ankhon me talaash liye,

kahin yahi daastaan mere anjaam ki agaaz to nahi...

triveni on "Dhaaga"

kaanton se ulajhhten hain rishton ke dhaage,
phool bhi barasten hain muskuraahat ke aage,

dhaaga samhal ke rakhna,bade kachche hote hain....

triveni on "Door"

door baitha koi hamare liye saari raat jaag raha hai,
sone ki koshish mein hoon,woh karwaten badal raha hai,

saari kayanaat me ek hi wo chand jo mere liye soya nahi...

triveni on "saansen"

tootta taara hai koi teri akhon se jo tapka.
aakhri saans meri,us boond ko choonke nikli.

saansein na rahi,toote taare bikhre pare the....

triveni on "Dareecha"

salaakhon se jakrisi chinkh rahi thi rooh meri,
zanjiron me qaid hoon main,aur tu khula aasmaan,

teri aankhen hai ya khulta hua dareecha sapnoka...

Triveni on "shab" and "nazar"

teri nazar ke chadar orli hai aaj ki shab,
chandni ki roshni bhi feeki par gayi hai,

andhere mein jalte diye hain nigahen teri...

triveni on "Gussa"

bahat lahre uth rahen hain aaj pani me,
zoron ki baarish aur tufaan bhara mausam,

hawaah ko itna gussa aa gaya kis baat pe....

triveni on Beqarar

zindaa hoon kyon ki koi kaam baaki hai,
yeh jism dharti se door jineki aadi hai,



beqarar meri mitti mujhhe kandha dene ke liye...

triveni on "Koshish"

ek kadam uthhe aur duje girne lage,
hath khud ba khud jaise hilne lage,

mat roko,udne ki koshish mein hoon ....

Situational Triveni

baadal jaisi teri zulfen garajti aur barasti hai seene mein,
khwabon ke bunat mein uljhha hoon, kya nasha hai peene mein?

is bekhudi se koi na jagaye ,masroof hoon main jeene mein...

triveni on DIL

lafz sujhe nahi ungliyan bekar hai,
rooh bebas aur dil bhi laachar hai.

siahi se ab pareshaani nikalti hain.......

triveni on "Aankhen"

timtimati ankhein mujhe aise dekhti kyon ho,
raat ho gayi ab so jao,aise chherti kyon ho.

raat bhar chherti jo chandni pari hai....

Situational Triveni

pata nahi haathon ki laqeeron se kya chhoot raha tha.
koi mita raha tha khudko,ya khud-b-khud mit raha tha.

rishta tha koi,ab pashemanisi hai...

triveni on"Guzaarish"

guzar rahi hai zindagi,maut ki guzaarish ho jaise,
khwab badalte rahte hain raatke karwaten ho jaise,

maut na ayi,zindagi ko jhelti rahi phir zindagi...

triveni on "khushiyon ki rut"

khushiyan phut rahi thi pataakhon ke saath,
pichhli baar dewali ka diya jala unke haath.


khushiyon ki rut guzar gayi,woh guzar gaye....

In memory of my SONAMAMU.....
[he left us on 19th July,2006...however,I never believed it]

triveni on "Oas ki boond"

dhoonda tha tujhe aasmaan ke baadlon ke shahar mein kahin...
ab zameen pe rakkhe in nange payron ke aage nazar uthti nahi,

kash main ban ke oas ki boonde teri chhuanko mahsus kar pata....

triveni on "Lawaris"

pata nahi kahaan se unglion se nikal aate hain aise labz,
ek khayal aate aate,kahin se dusra aa jata hai zahn mein.

labzon ki maa ka koi thikana nahi aur khayal bhi lawaris....

triveni on "Paigaam"

saanso ke tukro mein mahsoos kar rahi thi unhe,
ek tukra ahsaans bhej diya aur khush ho gayee..

Paigaam na pouhch paya raaste ki jaanjatse....

triveni on "Anjaam"

Unke baare mein sochti hoon aur bah jati hoon,
pata nahi kin galion mein khoke rah jati hoon.

khwabon se lautne ka anjaam roz wahi hota hai....

triveni on "Beqarar"

un aakhon me maikhana nahi,koi shayari hai shayad,
bujh gayee jo aankhen, nasha adhura rah jayega...

main beqarar hoon is purepanke ahsaas ke liye...

Saturday, December 23, 2006

Pushkin


Pushkin is my mom's Guruji's nephew.I don't know him.I never met him.He must be younger than me.Just very recently I saw his picture.But still can't believe that...
..He is no more.He left us this december...

today I was listening to Pdt.Manas Chakravarty...the renouned vocalist and my mom's Guruji....
Weh muskurakar gaate gayen aur main ....roti rahi...

Sitting there I wrote these lines on the opposite side of a receipt which was the only piece of paper I had then with me...

maine dekhi hai bas tasveer hi teri,
ainak lagake dhoondta hai gagan mein,
wahaan se gar koi wapsi ki gali hogi...

aaj gahre dard ki pukaar jo suni,
phir se dikhi woh tasveer mujhhe,
tujhhe jaannewali hi koi aawaaz hogi...

Is dhun ki jazbaat nahi is jahaan ki,
badlon ke paar se dhoop le ke ayi hai,
tujhhi se ho kar zameen pe chhayi hogi...

maine dekhi hai bas tasveer hi teri,
honton ke paas ek abhimaan laga tha,
jinme phoolsi muskan bhi khili hogi...

ab tu hi ek haseen tasveer,aur kuch nahi,
apnon ki dhundli aankhon mein achanak yun,
yeh bejaan si surat bhi kabhi saans leti hogi....

Friday, December 22, 2006

triveni on "Hamesha"

dubara nahi milta woh jo guzar gaya hai,
chalte hue raaste mein koi utar gaya hai,

kyon baat rah jati hai hamesha kuch baki si...

triveni on "Neend"

woh doorse mujhe dekhke muskurae,main muskurai;
woh aa rahe the qareeb mere,main sharmayee...

achanak kisine aawaz di,aur neend tut gayee.

triveni on the word "Lams"- 'touch'

ek nazar uns ki pagal kar gayee,
ek dafa dekhke kya haalat kar gayee.

usi nigaahon ke lams ka ab taq ahsaas hai mujhe.

tere ishq mein....

tere ishq mein dard hai,dagaa nahi.
rishtaa tha,jo toota hai,wafaa nahi...

beech sadak mein khoye the jo naghme,
raha kuchh der mere paas,par sadaa nahi...

waqt bah jata hai par zindagi thhahrisi,
manzil mujhhe kheenche,koi masihaa nahi...

wahi baithhe intezaar karti hai zindagi,
guzarti hai rahen par kahin pouhnchti nahi...

"chandramukhi" dekhne ke baad

kaash main hoti parion ki raani,
dhoondti firti sapno ki kahaani,
hoti meri ek sunahri shakti;
us shakti ke peechhe udte udte
kahin kho jati main.
duniya se mukt hoke
aasmaan ke aage nikal jaati main.
ek hawaa ka jhhonka
khushion ki taraf badta hua
uda le jaataa mujhhe;
saare andheron se peechha chhurake
roshni dikhataa mujhhe.

sochti hoon kab hogi meri woh mukti,
kya tumhi ho meri sunehri shakti....

chand ki tarha

hamaare chahre par bhi daag hai chand ki tarha,
hum bhi to jaagte hain raat bhar chandki tarha,
humari aankhon me bhi ujaala hai chand ki tarha.
farq sirf itna ke hum e kahkar bataana padta hai
ke hum bhi hain chand ki tarha,par us chandko,
kuchh kahne ki zaroorat hi nahi padti.

ji chahta hai

Tere honton ki laali mere ashqo mein samaa jaye to kya,
Aaj asmaan mein chandni banke dhal jane ko ji chahta hai...

Teri har adaa khataa banke mujhhko sataaye to kya,
Mohabbat ka har sitam ab sahne ko ji chahta hai....

Yeh dil hai bebas sa, dhadak to jata hai seene mein,
Ab khud hi se apni dhadkan chhupane ko ji chaahta hai...

Yeh mohabbat bhari dastaan sach nahi hai AAINA,
Kyon sapne samette hue haqiqat badalne ko ji chahta hai...

ishq ya hawaah

dil mein dafnaane se saans ban jaati hai,
muthhi mein qaid kar loon to
fisal ke nikal jaati hai....
yeh ishq hai ya hawaah....
jo barha mere qareeb se guzar jaati hain....

Thursday, December 21, 2006

kaash

Kaash main tera nasha bujhhati,tu meri pyaas,
tu yunhi bhhatakta rahta mere sunepanke paas,
tera gam guzar jaata aanchal ke chhaaon tale,
Main bhi bhool jaati humne kitne aansoo pale...

yaaddaasht

Saath bitaya hua pal lauta de,
woh guzra hua kal lauta de,
mujhhse meri yaaddaasht chhin le,
ye phir kisi ki yaaddaasht lauta de....

chhuan

kisi ki nazar chumi thi mujhhe,
shayad sirf ungliaan taqraai,
woh ek hi chhuan,
nason me samaake,
ragon me daudke,
dil pe hai chhayi....

Wednesday, December 20, 2006

Muskurahat

Zindagi ke kisi bhi mod pe yeh
muskurahat mere chahre se hatti kyon nahi....

khushi mein jaise muskuraati hoon,
kisne kaha tha taqlif bhi waisi hi ek
muskurahat ke peechhe chhupao!

kabhi kisine kuch poochha hi nahi,
kyon ki mere alag alag muskurahaton mein
shayad koi farq nahi tha....
farq tha to mere andar aur bahaar,
jo kisiko nazar nahi aaya.....
kisi ko pata hi nahi chala....
'main bhi ek insaan hoon...'

kuch nahi baant sakti

Kuch nahi baant sakti kahte kahte
kaunse jazbaat bat chuke the.....
pata hi nahi chala...............

gair samajhhne ki koshish karte karte
kab koi apne ban chuke the...........
pata hi nahi chala...................

bhul chuki hoon sochte sochte
kab usiko apna yaad bana liya,
pata hi nahi chala............

naraazgi apnonse door bhagaate hue
kab apne aapse bhagane lage.......
pata hi nahi chala................

Udaasi aur Yakeen ki kashmakash..

yeh pyas bujhhti nahi gale lagane se,
yeh mausam ka nasha hai utar jayega,

pighalti hai raaten karwaton ke saath,
thahri si sahar,waqt yunhi guzar jayega.

muthhi mein qaid hai tanha saansen meri,
ret jaisa rishta lakeeron se fisal jayega.

akhir ummeed bhi koi cheez hai rafikon,
buland yakeen,kismat se aage nikal jayega.

Maut

Ek din maut mere paas aake
ruki,aur kaha...
Mujhhe le jaanaa hai tumhe.
zara sa bhi darr nahi lagaa.
koi gila nahi thi...
main shauq se maut ke raaste par chal padi.
achanak beech raaste mein khayal aaya...
akhir main janmi thi kis liye!
mujhhe kisi manzil ka intezaar tha.
yeh adhuri zindagi chhodke main
kaise jaa sakti hoon!
us i pal,aankh khuli,
pata chala woh maut nahi...
sapna tha,jo kuch der mere
khayalon me aake rooka tha..............

Tuesday, December 19, 2006

Main

Is main ke baare mein kya kahoon..
kuch bhi kah loon,baat adhuri rahegi....
Is main ke ander kayeen main chhupe hain,
kabhi main is main se us main taq to kabhi
us main se kisi dusre main taq safar karti hoon.
ek hi zindagi mein kayeen main ko jeene ki hasrat liye
main in main me masroof rahti hoon.
yeh safar tab bhi tha jab main main nahi thi,
safar chalta rahega jab taq zindagi jaari rahegi.
par mere baad...mera zikr bhi na karna ai dost,
kyon ki kuchh bhi kah lo....baat adhuri rahegei.....

ढाई सदी..

मुझे पता है तुम्हारी बालकॉनी से समंदर दिखता है... तुम हर खुशी के मौके पे दौड़के आते हो वहां; कभी कभी रोने भी... कभी चाहनेवालों को हाथ ह...