Thursday, March 29, 2007

Tumhari yaadon mein aksar

Tumhari yaadon mein aksar
kuch cheezein bhul jati hoon...

Ab tumhare hisse ka shakkar bhi
chay mein daal ke pee jati hoon...

Tumhara haath khayalon mein thaame
bandh ankhon mein rasta paar kar jati hoon...

Tumhari yaadon mein aksar
kuch cheezein bhul jati hoon...


Jab bhi rona chahoon,tumhe taqleef hogi
soch kar hasne ki koshish mein lag jati hoon.

Tum to rulane bhi kahan aate ho ab,
phir bhi chalte chalte kahin ruk jati hoon...

Tumhari yaadon mein aksar...

Ghar lautte hi bell dabake na jane
ab bhi kis soch mein rah jati hoon...

Chaabi purse mein hoti hai magar
adatan intezar mein reh jati hoon.

Tumhari yaadon mein aksar
kuch cheezein bhul jati hoon...

Din bhar kahanyiaan padhti thi to
tum kitna tang kiya karte the...

Ab koi tokta nahin magar
kahanyiaan kahan padh pati hoon...

Tumhari yaadon mein aksar....

Mujhe sajdhajke dekhna
tumhe achha lagta tha,

Zamaane ki rasmon ko tod ke
tumhare rangon mein rang jati hoon...

Tumhari yaadon mein aksar
kuch cheezein bhul jati hoon...

Jab bhi koi mazedaar kissa sunoon,
haste haste shayad bhul pati hoon,

Akele has rahi thi soch ke
ek dafa phir rone lag jati hoon...

Tumhari yaadon mein aksar...

Zindagi to jaari hai ab bhi magar,
tumhare bina mahsus kahan kar pati hoon...

Zinda hoon phir bhi...
...aksar...
jeena bhi bhul jati hoon...

Tumhari yaadon mein...

Wednesday, March 28, 2007

for 1 of my closest friends

dosti ka matlab phir se samjhane lagi hai,
apni hi dosti ko tu kyun aazmane lagi hai...

teri baatein zahan se kabhi utri nahin,
dosti mere dil se kahin guzri nahin...

maine socha mujhse kabhi jo hoga hi nahin,
tujhe laga sabse behtar main karungi wohi...

chubhi thi kuch baatein jo kahke shayad tu bhul gayi,
zindagi mein kuch chunautiaan anjaane mein ghul gayi...

kitni baar rote dekha tujhe,har aansoon maine baata tha,
uska ek katra bhi tere saamne bahaya kyun nahin jata tha...

meri dosti teri khushnasibi,kitni aasaani se kah gayi,
Apni bezubaani to aksar,yunhi siahi mein bah gayi....

Monday, March 26, 2007

My Class Room

The world appears to be a class room,
I sit always on the last bench..

Years pass by.
One teacher replaces another,
the class room also changes,
I'm still on the last bench....

The world appears to be a class room,
I sit always on the last bench..

Dreams are there I know
I fly through the tiny windows
out there in the sky...
dreaming........
yet sitting on the last bench...

I see
I hear
I ask
I learn
the world appears to be a class room,
I sit always on the last bench...

Friday, March 23, 2007

jalan

main jalti thi us siski se
jo tere andar damakti thi,
jalti hoon us phool se bhi,
jo tere seene mein mahakta hai,
tujhi se jalti hoon main ke
maine khud ko bhi na chaha itna...

baarish ke paani se jalti thi
jo tujhe chhoon ke bheega tha...
un ansoonon se bhi jalti thi,
jo tere palkon mein gila tha...

dekhti thi teri taraf
to bas jalan hoti thi...
zindagi kitni shaant ho gayi,
ab jalan kahan hoti hai..

ab jalti hoon to bas maut se,
jo teri galion mein roti hai...

Monday, March 19, 2007

zindagi

safar ruk nahin jata humsafar peeche chhoot jaane se,
ik nayi zindagi ka aghaaz hota hai akele chal pane se...

bina wajah hans le kabhi,dekh ki kitni khushi hoti hai,
sukoon bhi mil jata hai bada chhup ke kahin ro aane se...

kuch baatein puri nahi ho pati bas thahar si jati hai,
gahra asar hota hai shayad ankahi rah jane mein...

kahne ko to dil hai magar barsonse tarasta hua registaan,
ek boond ashq hi baha de,ek nadi sama loon seene mein...

dobara phir mat dekhna mujhe is tarah aye zindagi,
ek dafa bas mila nazar,ek nasha bhar loon jeene mein...

Sunday, March 18, 2007

main shayra ban jaoon

safed panno ki taraf dekhti rahi kitni der...
aur apne khayal ko tana maarti rahi,
socha ki bas sochoon tujhe
aur main shayra ban jaoon...

zindagi mein baraste baraste rah jata hai tu ,
kabhi dard banke siahi ke jharne mein sama ja...
to main shayra ban jaoon...

tanhayee mein ashqon ki mahfil hai tu,
thartharate paaon tale zameen ban ja...
to main shayra ban jaoon...

ek neend tooti jab ek pukaar suni,
ek khwab chhoota jab aankh khuli...
tu khayalon ka sabse mahfus ghar ban ja...
main shayra ban jaoon...

Thursday, March 15, 2007

tumse fursat mile to khud se baat kar loon

mile nahin hum phir bhi judaa bhi kahan hai,
umr badhti hai jismon ki,dil abhi jawan hai...

sara waqt le liya tune ab tamam umr bhi gawa loon,
tere aane ke intezar mein apna jana bhi rukwa doon...

zahan mein dohrati hoon naam tera yunhi baar baar,
khud hi se poochti hoon ke ginti kya thi har baar...

Pura din yunhi beet jata hai bas baaton mein teri,
yeh alag baat hai ke tujhse baat hoti hi nahin meri,

jee karta hai aisa ke din ko raat kar loon,
tumse fursat mile to khud se baat kar loon...

Sunday, March 11, 2007

sapna toot jane ka sapna...bura sapna hota hai

sapna toot jane ka sapna hi to bura sapna hota hai,
bikhre pade un tukrose phir ek khwab pura hota hai.....

shaamil hai tu mere khwahishon ke bheed mein aise,
jaise sitaaron ke mahfil mein chand khila hota hai....

badal pighalke baarish bane aur phir jame badal,
mausam ke karwaton mein tasawwur tera hota hai...

mere shahar mein bheed hai bahut,tanhayi bhi to hai,
qaafila chahe jo bhi mile,manzil mein tu hi hota hai..


kuch pa loon ya kho doon,hans loon ya phir ro doon
zahan ke paimane se chhalka naam bhi tera hota hai.

Friday, March 9, 2007

tera haseen chehra dekh dekh
janam bita sakti hoon main,
tere saath milon paidal chalke
manzil ko paa sakti hoon main..
teri ek muskurahat ke aage
zindagi luta sakti hoon main..
tere ankhon ki roshni se roshan
hai duniya meri,
teri udti zulfein asmaan mera,

aaj jal chuka hai tera badan,
ankhein to hai magar main
bhi un mein dikhti nahin...
aaj paidal nahin chal sakte hum,
tujhse khada nahin hua jata ab..
aaj tu muskurane ki koshish karta hai,
to seene mein dafnati hoon dard
aur lahoo nikal ati hai ankhonse...


ab apna wajood bhi teri amaanat hai,
sadian bita sakti hoon
tere badan ko sawarte hue,
ab main teri ankhein,tera kadam,teri hansi hoon,
jala hai jo dil uski raakh ko bhi
samhalke rakhhi hai seene mein...
ab apna kuch bhi apne aapse alag nahin hota...
kyon ki bahar se badla hai phir bhi,
andar se wohi hai tu,..mera adhura hissa ...
jise pura karke main puri hoti hoon...

Monday, March 5, 2007

ek kohra tha jiska naam tha khwahish,
ek mahfil jiska naam muskaan,
ek nadi jiska naam mayusi,
ek jhharna ...khayal,
ek phool ...chhuan,
ek pahad ...dard,
ek ped ...ashq,
ek ghar...dil,
ek badal..rooh,
ek darpan ...tum,
ek mandir....mohabbat..........

To be continued...

Saturday, March 3, 2007

Abhinetri

socho us waqt jab mulaqat hote hi
ajeeb ek nazar se dekha tha tumhe...

tum bhi hairan,main bhi pareshan,
kya yahi humari pahli mulaqat thi...

ek anjaan chahra mere kareeb aya
barson se pahchani adaon ke saath...

seene mein ek sheesha toota,
shayad uske aneki aahat thi,

barson ki tanhayi girne lagi ankhon se,
aisi khushi thi jaise punarjanam hua ho...

usi pal kahna tha tumhe ke main,
kitni bahtareen abhinetri hoon...

ढाई सदी..

मुझे पता है तुम्हारी बालकॉनी से समंदर दिखता है... तुम हर खुशी के मौके पे दौड़के आते हो वहां; कभी कभी रोने भी... कभी चाहनेवालों को हाथ ह...