Monday, April 17, 2017

Dosti

Dosti ke kachhe dhaage jo
bahar se dikhayi nahin dete
aqsar dushmani ki raahon mein
aa kar haath thaam lete hain...

Tu dagaa pe dagaa diye ja
aye mere dost
mere sehne ki taqat badhti jati hai...
Kayi baar laga toote huye rishton ko
raund de hum.
Par har mod pe aake pata chala
bahar se toote rishtein
ander se meete nahin.

Is dost ko kabhi kamzor
na samajhna mere yaar,
Yeh bhi taqat hai dosti ki
ke isne ab taq
dagaa di nahin...

ढाई सदी..

मुझे पता है तुम्हारी बालकॉनी से समंदर दिखता है... तुम हर खुशी के मौके पे दौड़के आते हो वहां; कभी कभी रोने भी... कभी चाहनेवालों को हाथ ह...