Sunday, March 11, 2007

sapna toot jane ka sapna...bura sapna hota hai

sapna toot jane ka sapna hi to bura sapna hota hai,
bikhre pade un tukrose phir ek khwab pura hota hai.....

shaamil hai tu mere khwahishon ke bheed mein aise,
jaise sitaaron ke mahfil mein chand khila hota hai....

badal pighalke baarish bane aur phir jame badal,
mausam ke karwaton mein tasawwur tera hota hai...

mere shahar mein bheed hai bahut,tanhayi bhi to hai,
qaafila chahe jo bhi mile,manzil mein tu hi hota hai..


kuch pa loon ya kho doon,hans loon ya phir ro doon
zahan ke paimane se chhalka naam bhi tera hota hai.

1 comment:

  1. Har-ek line itni hi khoobsoorat jitni TAZ, bilkul lagta hai, jis tarah sangmarmar ko tarash kar 1 TAZ bana waise hi .. ALFAZ aur EHSAAS ko tarash kar ye GHAZAL bani..

    A PERFECT GHAZAL
    A MATURE GHAZAL

    1 among the best by you....

    ReplyDelete

ढाई सदी..

मुझे पता है तुम्हारी बालकॉनी से समंदर दिखता है... तुम हर खुशी के मौके पे दौड़के आते हो वहां; कभी कभी रोने भी... कभी चाहनेवालों को हाथ ह...