Friday, March 9, 2007

tera haseen chehra dekh dekh
janam bita sakti hoon main,
tere saath milon paidal chalke
manzil ko paa sakti hoon main..
teri ek muskurahat ke aage
zindagi luta sakti hoon main..
tere ankhon ki roshni se roshan
hai duniya meri,
teri udti zulfein asmaan mera,

aaj jal chuka hai tera badan,
ankhein to hai magar main
bhi un mein dikhti nahin...
aaj paidal nahin chal sakte hum,
tujhse khada nahin hua jata ab..
aaj tu muskurane ki koshish karta hai,
to seene mein dafnati hoon dard
aur lahoo nikal ati hai ankhonse...


ab apna wajood bhi teri amaanat hai,
sadian bita sakti hoon
tere badan ko sawarte hue,
ab main teri ankhein,tera kadam,teri hansi hoon,
jala hai jo dil uski raakh ko bhi
samhalke rakhhi hai seene mein...
ab apna kuch bhi apne aapse alag nahin hota...
kyon ki bahar se badla hai phir bhi,
andar se wohi hai tu,..mera adhura hissa ...
jise pura karke main puri hoti hoon...

2 comments:

  1. ab apna kuch bhi apne aapse alag nahin hota...
    kyon ki bahar se badla hai phir bhi,
    andar se wohi hai tu,..mera adhura hissa ...
    jise pura karke main puri hoti hoon...

    AWESOME...... kya kahoon, ALFAZ nahi hain mere pas twarif ko...

    ReplyDelete
  2. yeh kya batein likhi hai tune??
    ha ha ha ha
    jo bhi hai..khoobsoorat hai

    ReplyDelete

ढाई सदी..

मुझे पता है तुम्हारी बालकॉनी से समंदर दिखता है... तुम हर खुशी के मौके पे दौड़के आते हो वहां; कभी कभी रोने भी... कभी चाहनेवालों को हाथ ह...