Saturday, March 1, 2008

Adhuri Zubaan

jab bhi teri ankhein bolti hai
Urdu Urdu si hawaah chalti hai...

aksar nam aankhon mein teri,
meri baatein bhig jati hain...
ek ghazal ubhar kar ati hai
phir seene mein dab jati hai...

jab jab main sochoon tujhe,
aankhein hisso mein baras jati hai,
baat puri nahin hoti kabhi,
kavita bhi adhuri rah jati hai...

9 comments:

  1. baat puri nahin hoti kabhi,
    kavita bhi adhuri rah jati hai...




    LOVE IT

    ReplyDelete
  2. Hi Manali, Achha thought par kavita ki vyakaran (grammar ) mein dosh hai.. Theek kar ke likhne ki koshish ki hai. Hope u wont mind...jab bhi teri ankhein bolti hai
    Urdu Urdu si hawaah chalti hai...

    aksar nam aankhon mein teri,
    meri baatein bhig jati hain...
    ek soch ubhar kar aati hai
    phir seene mein dab jati hai...
    If u want to use jazbat then it should be ubhar kar aata hai) so u can use a word like soch or baat

    jab jab main sochoon tujhe,
    Aankhein hisso mein baras jati hai,
    baat puri nahin hoti kabhi,
    kavita bhi adhuri rah jati hai...
    ( Again naine ke saath striling nahin lagta yadi aap naina likhengi to baras jaate hona chahiye, Baras jati ke liye aankhein better hai.. Hope u dont mind

    ReplyDelete
  3. thanks Piyush n Vikas for corrections...Thanks Affi for appriciating and encouraging...

    ReplyDelete
  4. Hello. This post is likeable, and your blog is very interesting, congratulations :-). I will add in my blogroll =). If possible gives a last there on my blog, it is about the TV de Plasma, I hope you enjoy. The address is http://tv-de-plasma.blogspot.com. A hug.

    ReplyDelete
  5. Very nice! You are very lucky that you have someone here to correct the grammar also!

    ReplyDelete
  6. Hi, Kavita bahut achhi lagi.. Khas kar "Ajeeb sa lagta hai"... sach me bahut achha likha hai.

    ReplyDelete
  7. Hi, Kavita bahut achhi lagi.. Khas kar "Ajeeb sa lagta hai"... sach me bahut achha likha hai.

    ReplyDelete
  8. Hi, Kavita bahut achhi lagi.. Khas kar "Ajeeb sa lagta hai"... sach me bahut achha likha hai.

    ReplyDelete

ढाई सदी..

मुझे पता है तुम्हारी बालकॉनी से समंदर दिखता है... तुम हर खुशी के मौके पे दौड़के आते हो वहां; कभी कभी रोने भी... कभी चाहनेवालों को हाथ ह...