Thursday, March 29, 2007

Tumhari yaadon mein aksar

Tumhari yaadon mein aksar
kuch cheezein bhul jati hoon...

Ab tumhare hisse ka shakkar bhi
chay mein daal ke pee jati hoon...

Tumhara haath khayalon mein thaame
bandh ankhon mein rasta paar kar jati hoon...

Tumhari yaadon mein aksar
kuch cheezein bhul jati hoon...


Jab bhi rona chahoon,tumhe taqleef hogi
soch kar hasne ki koshish mein lag jati hoon.

Tum to rulane bhi kahan aate ho ab,
phir bhi chalte chalte kahin ruk jati hoon...

Tumhari yaadon mein aksar...

Ghar lautte hi bell dabake na jane
ab bhi kis soch mein rah jati hoon...

Chaabi purse mein hoti hai magar
adatan intezar mein reh jati hoon.

Tumhari yaadon mein aksar
kuch cheezein bhul jati hoon...

Din bhar kahanyiaan padhti thi to
tum kitna tang kiya karte the...

Ab koi tokta nahin magar
kahanyiaan kahan padh pati hoon...

Tumhari yaadon mein aksar....

Mujhe sajdhajke dekhna
tumhe achha lagta tha,

Zamaane ki rasmon ko tod ke
tumhare rangon mein rang jati hoon...

Tumhari yaadon mein aksar
kuch cheezein bhul jati hoon...

Jab bhi koi mazedaar kissa sunoon,
haste haste shayad bhul pati hoon,

Akele has rahi thi soch ke
ek dafa phir rone lag jati hoon...

Tumhari yaadon mein aksar...

Zindagi to jaari hai ab bhi magar,
tumhare bina mahsus kahan kar pati hoon...

Zinda hoon phir bhi...
...aksar...
jeena bhi bhul jati hoon...

Tumhari yaadon mein...

16 comments:

  1. Believe me
    I am really speechless. Can't give any comment.

    ReplyDelete
  2. behatareen kavita...
    dil ko chhu gayee
    aisa lagta hai jaise padhte hue in paristhitiyon se guzar raha hoon...
    bahut hi achha...

    ReplyDelete
  3. actually I agree with affi... I am too speechless but dil me kai sawaal uth gaye hain... oh ya poem.. well kavita kya kahun, acha shabd kam hai is ke liye. dil ki dhadkan ki raftar badha di aapki in adhuri baaton ne

    ReplyDelete
  4. impossible really amazing.....

    ab aage kya kahun ...ekdum alag sa ehsaas hua padh ke..... dil ki gharaiyon tak choo gayi hai tumhari yeh kavita.......................
    yeh kavita ab mere kavita sangrah ki shobha badhayegi ...........

    ReplyDelete
  5. Mind-blowing.......................
    Hamme se kayi is ehsaas se gujar rahe ya gujre honge kabhi na kabhi.... par tumne,use nichod kar shabdon me yun dhaala hai ke fir aankhon ke samne tair uttha ek khoobsoorat jhalak banke wohi ehsaas.
    Shukriya Manali.

    ReplyDelete
  6. zinda hoon phir bhi...
    ...aksar...
    jeena bhi bhul jati hoon...

    tumhari yaadon mein...
    Absolutely....no words to say what...!!

    ReplyDelete
  7. nice effort....

    but mst say few wrds 4 her...

    gar dekhna hai inke udne ka andaz to aasma se kah do thoda aur uncha ho gaye....

    ReplyDelete
  8. This comment has been removed by the author.

    ReplyDelete
  9. bahut hii achaa.... while reading the following lines I thought that these could be written as a Triveni...

    Rotey-rotey, tumhe taqleef na ho sochke,
    Hasne ki koshish mein lag jaati hoon...
    Tum to rulaane bhi kahan aate ho ab...



    Sorry.. thoda sa shabdon mein ulat-pher kiya hai :-)

    ReplyDelete
  10. I'd like to say something...Nidhi ki tarah shayad sabke mann mein kuch sawaal uthe ho...
    yeh kavita maine apni Mimmi[mami ji]ko dhyan mein rakh ke likhi hai...I lost my sonamamu[mama ji]last year....

    @Amitorion
    arre thanks... and yeah u made a good triveni out of it...keep giving comments....thanks to all

    ReplyDelete
  11. hey di,

    apne mami ke liye isse achchi poem aur kuch likha hi nahi jaa sakta..
    khaas kar jab situation kuch aisi ho.

    padhte padhte aankhen bhar aayi thi meri
    bahut achcha likha hai di
    keep it up!!

    ReplyDelete
  12. Absolutely Wonderful......

    tumhari yaadon mein aksar....

    Keeep writing.....
    have great time....
    Tejas :)


    @ all:
    really comments are not enough

    ReplyDelete
  13. is kavita ke bare me ek khas baat kehna chahungi.....ise padhkar jinki aankhen nam ho jayengi..unhone aisa kabhi mehsus nahi kiya hoga...aur jinke hothon par muskan hogi ..ye unhi ki kahani hogi....100%...

    ReplyDelete
  14. is kavita ke bare me ek khas baat kehna chahungi.....ise padhkar jinki aankhen nam ho jayengi..unhone aisa kabhi mehsus nahi kiya hoga...aur jinke hothon par muskan hogi ..ye unhi ki kahani hogi....100%...

    ReplyDelete
  15. aur jahan tak lekhika ki baat hai....mere pas bhi shabd nahi hai...apki tarif ke liye...aur thanx...kyunki ise padh kar aisa laga jaise meri bhavnaon ko shabd mil gaye....meri hi kahani hai ye....

    ReplyDelete

ढाई सदी..

मुझे पता है तुम्हारी बालकॉनी से समंदर दिखता है... तुम हर खुशी के मौके पे दौड़के आते हो वहां; कभी कभी रोने भी... कभी चाहनेवालों को हाथ ह...