mile nahin hum phir bhi judaa bhi kahan hai,
umr badhti hai jismon ki,dil abhi jawan hai...
sara waqt le liya tune ab tamam umr bhi gawa loon,
tere aane ke intezar mein apna jana bhi rukwa doon...
zahan mein dohrati hoon naam tera yunhi baar baar,
khud hi se poochti hoon ke ginti kya thi har baar...
Pura din yunhi beet jata hai bas baaton mein teri,
yeh alag baat hai ke tujhse baat hoti hi nahin meri,
jee karta hai aisa ke din ko raat kar loon,
tumse fursat mile to khud se baat kar loon...
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
ढाई सदी..
मुझे पता है तुम्हारी बालकॉनी से समंदर दिखता है... तुम हर खुशी के मौके पे दौड़के आते हो वहां; कभी कभी रोने भी... कभी चाहनेवालों को हाथ ह...
-
rishton ki milawatein ho jati hai dil mein , benaam rishton se hi lehek jati hoon... marasim aise na bante dekha kabhi chhoone se pahle ...
-
Pushkin is my mom's Guruji's nephew.I don't know him.I never met him.He must be younger than me.Just very recently I saw his pic...
-
jab bhi teri ankhein bolti hai Urdu Urdu si hawaah chalti hai... aksar nam aankhon mein teri, meri baatein bhig jati hain... ek ghazal ubhar...
sabse pahli baat to yeh ki Kavita ka naam bahut hi khoobsoorat hai.
ReplyDeleteKavita bhi utni hi khoobsoorat jitna iska naam.
zahan mein dohrati hoon naam tera yunhi roz baar baar,
ke khud hi se poochti rahti hoon ke ginti kya thi har baar...
yeh lines ghazab ki hain..baar baar padhne ko jee karta hai..aur hamesha ki tarah ending bahut hi achhi.
janti hai.. tere andar sabse achchi baat kya hai..
ReplyDeletetu aise poems likhti hai jise bar bar padhne ka dil karta hai..
Padhkar lag raha hai jaise koi mujhse baat kar raha hai.. AWESOME
main hamesha tere shazal ki best 2 lines nikal ke uski twarif karta hoon.. but is baar
I MUST say.. every single line touched me somewhere... keep writing
GOD BLESS YOU
do baar padi toh poori samajh aayi...bahhut bahhut khoobsurat hai manali...
ReplyDeletebas ek chota sa suggestion : pehle aur teesre para mein ek do harf yahan se wahan karne par ryhme aur accha ban sakta hai
ok di I'll try...keep giving suggestions..
ReplyDeleteThis one is beautiful... sach bolu aaj lag raha hai ab tak aapka blog dekha kyun nahi! I missed something.
ReplyDeleteteri kuch panktiyaan
jinhe kavita banne ki tamnna thi
na jane kavita bani ya nahi
per in aankhon se do boond chura le gayin!!