Sunday, March 18, 2007

main shayra ban jaoon

safed panno ki taraf dekhti rahi kitni der...
aur apne khayal ko tana maarti rahi,
socha ki bas sochoon tujhe
aur main shayra ban jaoon...

zindagi mein baraste baraste rah jata hai tu ,
kabhi dard banke siahi ke jharne mein sama ja...
to main shayra ban jaoon...

tanhayee mein ashqon ki mahfil hai tu,
thartharate paaon tale zameen ban ja...
to main shayra ban jaoon...

ek neend tooti jab ek pukaar suni,
ek khwab chhoota jab aankh khuli...
tu khayalon ka sabse mahfus ghar ban ja...
main shayra ban jaoon...

2 comments:

  1. woooooooooooooow!!
    kya baat hai gullu...
    kya khoobsoorat kavita hai

    socha ki bas sochoon tujhe
    aur main shayra ban jaoon

    kitna pyara hai yaar yeh khyal.

    ReplyDelete
  2. zindagi mein baraste baraste rah jata hai tu ,
    kabhi dard banke siahi ke jharne mein sama ja...
    to main shayra ban jaoon...

    ab kya kahoon.. TU SHAYARA ban gayi re...

    GOD BLESS YOU TO KEEP WRITING

    ReplyDelete

ढाई सदी..

मुझे पता है तुम्हारी बालकॉनी से समंदर दिखता है... तुम हर खुशी के मौके पे दौड़के आते हो वहां; कभी कभी रोने भी... कभी चाहनेवालों को हाथ ह...