Friday, March 23, 2007

jalan

main jalti thi us siski se
jo tere andar damakti thi,
jalti hoon us phool se bhi,
jo tere seene mein mahakta hai,
tujhi se jalti hoon main ke
maine khud ko bhi na chaha itna...

baarish ke paani se jalti thi
jo tujhe chhoon ke bheega tha...
un ansoonon se bhi jalti thi,
jo tere palkon mein gila tha...

dekhti thi teri taraf
to bas jalan hoti thi...
zindagi kitni shaant ho gayi,
ab jalan kahan hoti hai..

ab jalti hoon to bas maut se,
jo teri galion mein roti hai...

4 comments:

  1. Awesome!!
    aajkal to teri kavita padh kar mujhe jalan hone lagti hai....

    jalti hoon bas maut se...
    na jane kyun aisi baatein tujhse sun-na achha nahin lagta...
    phir bhi...
    likha bahut achha hai

    ReplyDelete
  2. Khatarnaak lines hain yaar...

    tujhi se jalti hoon main ke
    maine khud ko bhi na chaha itna...

    ReplyDelete
  3. kaash yeh main likh pata

    bahut achcha likha hai di!!

    ReplyDelete

ढाई सदी..

मुझे पता है तुम्हारी बालकॉनी से समंदर दिखता है... तुम हर खुशी के मौके पे दौड़के आते हो वहां; कभी कभी रोने भी... कभी चाहनेवालों को हाथ ह...