woh kaun sa shaks tha,
jiske jism mein dhala hua
meri ruh ka aks tha.
woh kaun sa shaks tha....
Aasman ke baadlon mein
Atma ki gahrayion mein
dhundla sa jo naksh tha,
woh usi ka to aks tha.
Woh kaun sa shaks tha...
kabhi thamke,kabhi chalke
nabz mein,kabhi lafz mein,
pee ke ya nigal ke
ashq mein,kabhi aah mein,
karwaya jisne raqs tha ,
kaunsa woh shaks tha....
woh kaun sa shaks tha,
jiske jism mein dhala hua
meri ruh ka aks tha.
woh kaun sa shaks tha....
excellent piece of work...
ReplyDeleteWo kaun shaks tha,meri rooh ka aks tha....
ReplyDeletebahut khoobsurat bani hai ye kavita Manali aur para's ki rhyming bhi acchi bani hai.