Tuesday, December 19, 2006

Main

Is main ke baare mein kya kahoon..
kuch bhi kah loon,baat adhuri rahegi....
Is main ke ander kayeen main chhupe hain,
kabhi main is main se us main taq to kabhi
us main se kisi dusre main taq safar karti hoon.
ek hi zindagi mein kayeen main ko jeene ki hasrat liye
main in main me masroof rahti hoon.
yeh safar tab bhi tha jab main main nahi thi,
safar chalta rahega jab taq zindagi jaari rahegi.
par mere baad...mera zikr bhi na karna ai dost,
kyon ki kuchh bhi kah lo....baat adhuri rahegei.....

6 comments:

  1. Manali is so much expressive. She uses words in very different aspects say in very amazing aspects.
    Main ke baare mein kya kahoon...
    Yeh bilkul hi sach hai...khud ko describe karna bahut hi mushkil hai kyunki yeh main pal-pal, har pal badalta jata hai.

    I have seen so many poems and triveni of Manali and I can say She is Amazing.

    ReplyDelete
  2. sorry, I am just speechless.....

    I just wanna say.. often I use to go to MANALI's Profile.. & read this MAIN KE BARE ME KYA KAHOON..

    ReplyDelete
  3. shayari, ya ghazal use kahte hain, jise har1 sakhs gunguna sake, ya bat bat par use kar sake... & GUESS WHAT..

    AJ KOI MUJHSE POOCHHTA HAI.. AAP KAUN? TO MAIN KAHTA HOON... IS MAIN KE BARE ME KYA KAHOOON................

    ReplyDelete
  4. kya likha tha yaar tune... this poem is my fav...
    baar baar padhne ka man karta hai

    ReplyDelete
  5. ye nazm padhke pata chala k maut masculine hai.


    aisa hai kya?

    ReplyDelete

ढाई सदी..

मुझे पता है तुम्हारी बालकॉनी से समंदर दिखता है... तुम हर खुशी के मौके पे दौड़के आते हो वहां; कभी कभी रोने भी... कभी चाहनेवालों को हाथ ह...