Friday, September 21, 2007

benaam

rishte kuch aise hi hote hain,
ladkharate hue
beech mein atak jate hain,
unhe yahan se wahan
wahan se yahan
hilaya na karo....
bikhar jayenge...
kuch uljhe honge magar anchhuaa rahne do...
na suljhao...
chahe kisi bhi naam mein na dhal paye,
magar hai to rishta hi..
rahne do....

kya kya na sikha

guzre rishto ne sikhaya hai
rishte kabhi guzarte nahin,
sukhe aankho ne bataya hai ke
aankhein kabhi sukhti nahin...
rishte saye ban jate hain,
aankhein bhi nam rahti hai...
aise hi ek din
manzil ki pyaas ne sikha diya
yeh pyaas kabhi bujhti nahin...
bas badhti jati hai...
ant se pahle iska ant nahin hota...

Saturday, September 15, 2007

Maa.........

jinki aankhon me dekhte hi sukoon aa jaye,
aanchal jo bichha de woh to neend aa jaye...

chhoti si galti bhi maaf nahin karta zamana
unki kokh mein to haiwaan bhi paak ho jaye...

kyon mitti se banate ho but poojne ke liye,
inke aanchal mein to puri kaynaat kho jaye...

jhukte nahin jo aankhein kabhi kisike saamne,
maa dikhe to pal mein unka sir bhi jhuk jaye....

..................................................................................
Afroz's amazing improvisation on the metre and the over all presentation:
..................................................................................

inki aa.nkhe.n dekhte hi sukoon aa jaye,
aanchal ye bichha de to nee.nd aa jaye...

choti si khata maaf karta nahi.n zamana
inki kokh mein haiwaan bhi paak ho jaye...

kyon mitti ke bana ke but pooje hum
inke aanchal mein jab kaainaat kho jaye...

"AINA" jhuki naa aankhein rab ke saamne,
maa.N dikhe kahin to ye sar bhi jhuk jaye....

Friday, September 14, 2007

aankhein teri[once again a male expression]

main kuch bhi karoon koi tokta nahin,
teri aankhein daantti hai....

jo khud ko bhi maine kaha nahin
teri aankhein jaanti hai....

main chhalkata hoon jis boond ko
teri aankhien rokti hai....

hai baat jo jami seene mein mere,
teri aankhein bolti hai....

bhagta hoon jo kisi manzil ki oar,
teri aankhein bulaati hai....

sau baar hansaati hai yeh aankhein,
hazaar baar rulaati hai....

dekhti hai aise hansti aankhein ke
har baat samajhti hai....

pyar mein chhalak jati hai magar,
gusse mein garajti hai...

bas un aankhon ka pyasa hoon main,
kya wo bhi tarasti hai....

Tuesday, September 11, 2007

when I feel sorry and say sorry,
u say hey shut up....
when I'm sad and try to laugh,
u say just shut up...
will you say the same
if I say..........nothing at all...?

Saturday, September 1, 2007

"Hamesha" ke liye ya "bas kuch der" ke liye......

Pade rehne do un bikhri cheezon ko zara,
jo mere haathon ki garmi se guzri thi..

"hamesha" ya "bas kuch der" ke liye...


Tum suljhaoge to main aur ulajh jaungi,
toote hue cheezon ko dekhoge to yaad aungi...

"hamesha" ya "bas kuch der" ke liye.......


kuch der aur rukne do mere ahsaason ko,
diwaar pe,farsh pe,takiye pe,kambal pe...
aur haan zahan mein,dil mein,jism mein,
ho sake to ruh mein bhi rok lena mujhe...

"hamesha" ya "bas kuch der" ke liye.......

Pelmet se giraye parde,gusse ko magar chhoda nahin,
Photoframe ke saath kahin shaadi bhi to toda nahin?

"HAMESHA"? ya "bas kuch der" ke liye!

Zindagi mein aage badh gaye ya zindagi se aage,
Tum..manzil, phir yeh zindagi bhi mujhse bhaagi,

"hamesha" ya "bas kuch der" ke liye....!

ढाई सदी..

मुझे पता है तुम्हारी बालकॉनी से समंदर दिखता है... तुम हर खुशी के मौके पे दौड़के आते हो वहां; कभी कभी रोने भी... कभी चाहनेवालों को हाथ ह...