Pade rehne do un bikhri cheezon ko zara,
jo mere haathon ki garmi se guzri thi..
"hamesha" ya "bas kuch der" ke liye...
Tum suljhaoge to main aur ulajh jaungi,
toote hue cheezon ko dekhoge to yaad aungi...
"hamesha" ya "bas kuch der" ke liye.......
kuch der aur rukne do mere ahsaason ko,
diwaar pe,farsh pe,takiye pe,kambal pe...
aur haan zahan mein,dil mein,jism mein,
ho sake to ruh mein bhi rok lena mujhe...
"hamesha" ya "bas kuch der" ke liye.......
Pelmet se giraye parde,gusse ko magar chhoda nahin,
Photoframe ke saath kahin shaadi bhi to toda nahin?
"HAMESHA"? ya "bas kuch der" ke liye!
Zindagi mein aage badh gaye ya zindagi se aage,
Tum..manzil, phir yeh zindagi bhi mujhse bhaagi,
"hamesha" ya "bas kuch der" ke liye....!
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
ढाई सदी..
मुझे पता है तुम्हारी बालकॉनी से समंदर दिखता है... तुम हर खुशी के मौके पे दौड़के आते हो वहां; कभी कभी रोने भी... कभी चाहनेवालों को हाथ ह...
-
jab bhi teri ankhein bolti hai Urdu Urdu si hawaah chalti hai... aksar nam aankhon mein teri, meri baatein bhig jati hain... ek ghazal ubhar...
-
khwab ke sir se leke paon taq tum hi tum the.. tumhare sir se leke paon taq khwab hi khwab... ab bhi mere dil ke sir se paon taq tum hi h...
-
rishton ki milawatein ho jati hai dil mein , benaam rishton se hi lehek jati hoon... marasim aise na bante dekha kabhi chhoone se pahle ...
hamesha ya kuchh der ke liye!!
ReplyDeletebehatareen baat.kabhi kabhi aisi uljhanein aa jaati hain zindagi mein...kuchh hota hai jise rok bhi nahin paate aur chhod bhi nahin pate.
photoframe ke saath kahin shaadi bhi to toda nahin?
kitni sateek soch.us moment mein bilkul yahi baat aati hai mann mein.
Hats off to u manali for this poem. Hamesha ki tarah nahin balki hamesha se zyada khoobsoorat likha hai tune.
aur haan dimag mein,dil mein,jism mein,
ho sake to rooh mein bhi rok lena mujhe...
guzarish,shikaayat,dard sab ek hi poem mein likh diya hai tune.
great!!
thanks Piyush........
ReplyDeleteek chhota sa badlav
aur haan dimag mein,dil mein,jism mein,
ho sake to rooh mein bhi rok lena mujhe...
dimag ke badle 'zahan'likh diya hai ab...I think this word has a better sound and meaning........
are waahh kya likha hai...khubsurat...!!
ReplyDeletebahut pyaraa..
apke likhi kavitao.N me.n ab tak jitani padhi unme sabse khbsurat hai...
Sujhaav:
::::::
pade rahne do un bikhri cheezon ko zara,
jo mere haathon ki garmi se guzre honge.
yaha "guzre honge" se behtar sound "guzare the" karega...
kuch der aur rukne do mere ahsaason ko
diwaar pe,farsh pe,takie pe..kambal pe..
"Kambal pe" last me kar de.n...to khubsurti jayda lagegi...
esa mujhe lagta hai.
with love
..masto...
hmmm..hahaha..pahle guzre the likhka tha par baad mein metre thik karne ke liye honge kar diya....aur 2nd sujhhaav bhi socha to sahi laga mujhe...thanks
ReplyDelete....................
ReplyDelete.......................
ReplyDelete.......................
ReplyDeleteparso pdhi
ReplyDeletekal padhi
aj bhi padhi
kal bhi padhunga........
but comment shayad kabhi na de paoon......
"hamesha" ya "bas kuch der" ke liye....
ReplyDeleteBahut bahut acchha likha hai aapne. Maya (ijajat) ki rooh jaise aapmein sama gayi ho.... waisi hi baat, wahi touch........
Bahut hi sundar. Aapki "main" waali kavita jitni acchhi....
................. aj salon baad padha and aj fir....................
ReplyDeleteaj bhi koi comment nahi hai............