Friday, June 22, 2012

On female foeticide

Meri saans se chalti thi uski saansein,
Mera aks tha tu aur jism ka hissa bhi. 
Meri mitti se banti ek jaan mili mujhe,
Zindagi phir bana ek maut ka kissa bhi.

Nanhi si pari jaise asmaan se giri thi,
soone kokh ko karne ayi thi wo ujala.
Nayi zindagi badh rahi thi mujh mein,
Jivan ko mil raha tha usi se sahaara.

Ab saans mein saans kyun milti nahin,
Nanhe haath pairon ko dhoondti hoon.
Dikha tha jo ek baar zindagi ka aayina,
Usike tukro mein baar baar marti hoon...

Log samajhte hain ke zinda hoon main,
Aur dil nahin janta ke ab bhi hoon main.
Har pal sunti hoon MA pukarti ek awaaz,
Ab kuch aur nahi bas bula le apne paas.

Tuesday, June 19, 2012

Mayus ho jaati hoon jab bhi,
Dil ki kaliyan murjha jati hai,
use raund kar chale jate ho,
khushboo bhi gum ho jati hai...

Tumne na samjhi wo baatein
jo bin bole samjhi jaati hai.
Hansi ab ankhon taq nahi khilti,
Honton par khatm ho jati hai...

मायूस हो जाती हूँ जब भी,
दिलकी कलियाँ मुर्झा जाती हे. 
उसे रौंद कर चले जाते हो,
खुशबु भी ग़ुम हो जाती है.

तुमने न समझी वो बातें जो 
बीन बोले समझी जाती है. 
हसी अब आँखों तक नहीं खिलती,
होंटो पर ख़त्म हो जाती है. 



Monday, June 11, 2012

Koi gir gaya hai teri nazar mein,
Phir teri nazar kyun jhuk gayi...

Ab ya to dekh koi aur manzar,
Ya samajh zindagi wohi ruk gayi...

Saturday, June 9, 2012


ek lambi aah ke baad ek saundhi si saans mili,
patjhar ke mausam gaye, raahon mein kali khili...
Toota tha jo aaina, jurne laga hai,
Lafzon ka pankh phir udne laga hai...

ढाई सदी..

मुझे पता है तुम्हारी बालकॉनी से समंदर दिखता है... तुम हर खुशी के मौके पे दौड़के आते हो वहां; कभी कभी रोने भी... कभी चाहनेवालों को हाथ ह...