Saturday, January 13, 2007

kahte kahte ruk gayi thi achanak,
woh poochte rahe kya thi wo baat..

aise hi kabhi kabhi thahar jati hoon main,
sapne,zindagi,rishte saare tham jaten hain.

yunhi kisi mod pe phir paida ho jaten hain
ek aur rishta,ek nayi zindagi,koi aur baat..

gir jati hoon,phir samhal jati hoon main,
woh daudke aate hain sahara dene ke liye..

kabhi nikal jati hoon main us disha,
jahan baat rukisi achhi lagti hai...
khud ka sahara banna achha lagta hai
rishte rukawate nahi,raaste lagte hain...

2 comments:

  1. Manali Tu kitne simple words use karti hai par kitne achhe expressions.

    kabhi nikal jati hoon main us disha,
    jahan baat rukisi achhi lagti hai...
    khud ka sahara banna achha lagta hai
    rishte rukawat nahi,raaste lagte hain...

    ending to bahut hi achhi hai. love it

    ReplyDelete
  2. WESOME......DO YOU WRITE?? CAN I SEE SOME Of YOUR WORK?

    ReplyDelete

ढाई सदी..

मुझे पता है तुम्हारी बालकॉनी से समंदर दिखता है... तुम हर खुशी के मौके पे दौड़के आते हो वहां; कभी कभी रोने भी... कभी चाहनेवालों को हाथ ह...