Tuesday, September 19, 2017

पाठक

"Mujhe pata hai,
Tum roz meri deewar pe
tangi khidki se jhaak kar
Mujhe dekhte ho.
Aur phir us khidki se hi
Mere kamre ke andar
Aa jate ho.
Mere samne khade hote ho aur.
Apne kapde utaarne lag jate ho,
Apni khal bhi utar dete ho.
Haddi maas sab khol kar
Rakh dete ho zameen par.
Tum roz meri nazm ki
Khidki se jhaak kar
Mujhe dekhte ho.
Aur phir usi khidki se
Kood kar mere khayalon ke 

kamre mein aa jate ho,
Mere saamne khade hote ho,
Sirf apni rooh ko liye..."


No comments:

Post a Comment

ढाई सदी..

मुझे पता है तुम्हारी बालकॉनी से समंदर दिखता है... तुम हर खुशी के मौके पे दौड़के आते हो वहां; कभी कभी रोने भी... कभी चाहनेवालों को हाथ ह...