Saturday, March 20, 2010

Milan

khwab ke sir se leke paon taq tum hi tum the..
tumhare sir se leke paon taq khwab hi khwab...

ab bhi mere dil ke sir se paon taq tum hi ho,
aur tumhare sir se le kar paon taq dil hi dil....

na kavita na kahani...magar kuch to hai..ya kuch bhi nahin..

Yahaan wahaan bikhra para hai ab taq saari cheezein...kitaabein bistar par aur CDs book shelf mein khadi hai...ek bhi kaam agar tujhe dhang se karna ata...na ghar se nikalne ka koi waqt hai na lautne ka....Unke guzarne ke baad se meri kismat mein to sirf bikhri pari cheezon ke beech baithke intezaar karna hi likha tha...raat ke dhai baj rahe the...balcony se jhaank rahe the intezaar mein meri aankhein aur kapde tere...dono gile the...Aj to intezaar ki had hi ho gayi...lautega to maar hi dalungi...lekin tune yeh mauka bhi na diya mujhe.
Ek waqt tha jab mera aanchal thame bagair ek kadam ghar se bahar nahin rakhta tha aur aj ghar ka rasta dhoond kar ane mein char admi laga.tere kamre ka darawaza abhi taq teri shirt pahanke khada hai...ab taq teri mahak ghar se utri nahin ke tere badan ke charo oar dhup ke dhuen se sar chakra gaya mera...
Tere aneki khabar to nau mahine se thi magar jane ka paigaam jiteji na mila hota...ghar se kaun kaunsi cheezein hataoon ke teri yaad mit jaye...ab to aaina dekhoon to bhi lagta hai ke achanak pichhe se tu ayega aur pakad ke upar utha lega mujhe...aur khud ko bahut bada weight lifting champion kahega.bahar niklun to saari gadiaan rakshas nazar ati hai...jaise ke mere ek hisse ko raund kar chala gaya hai sab ke sab.Bazar se sabziaan kharidte waqt bhi galati se teri sehat ke baare mein sochti hoon to apni sehat bigar jati hai.Kaun kaun si adat badloon apni ke tu yaad na aye...roz subhe dudh mein chocolate powder mila kar tere bistar ke bagal mein chote table par rakhne jati hoon ke khali bistar dikhta hai..aur yaad ata hai ke tu bhi yaad hi to hai ab.Baar baar pal bhar ki behoshi chha jati hai aankhon mein..ke jeena kitna asaan hota hai na jeene mein...us behoshi mein ek baar aake bata de ke sab jhut hai..bura sapna hai...ke main jaag kar ji saakoon...

ढाई सदी..

मुझे पता है तुम्हारी बालकॉनी से समंदर दिखता है... तुम हर खुशी के मौके पे दौड़के आते हो वहां; कभी कभी रोने भी... कभी चाहनेवालों को हाथ ह...