Friday, February 1, 2008

Manzil

bhaagti rahi main manzil ki or
raste mein kuch"Main"utar gayin...

jis rah se guzarte the kabhi
wo rah bhi aage guzar gayi...

manzil kya mili mujhe aine badal gaye...
waqt ke saath kyun maine badal gaye.

kayi wajehein hain rone ki
sirf gham ke kaaran kaun rota hai.

ant mein khud se milna ho
to beech mein bichhadna bhi hota hai....

3 comments:

  1. raaste mein kuchh 'MAIN'utarr gayeen...pahle to samajh hi nahin aayee baat..poori kavita padhne ke baad dhyaan gaya is baat par ki tune kya kahna chaha hai....naya sa prayog hai...sahi ghalat ka pata nahin magar achha laga!!

    yaar flow mein gadbad hai..zara theek kar!!!
    baaki kavita to achhi hai..hamesha ki tarah :)

    ReplyDelete
  2. jis rah se guzarte the kabhi
    wo rah bhi aage guzar gayi...

    Teriffic lines....

    ReplyDelete
  3. bhaagti rahi main manzil ki or
    raste mein kuch"Main"utar gayin...

    A typical Manali's poem

    but climax...

    ant mein khud se milna ho
    to beech mein bichhadna bhi hota hai....

    beech me bichharne ke baad Ant me aaj tak koi nahi mila....

    TC 'n' keep :)

    ReplyDelete

ढाई सदी..

मुझे पता है तुम्हारी बालकॉनी से समंदर दिखता है... तुम हर खुशी के मौके पे दौड़के आते हो वहां; कभी कभी रोने भी... कभी चाहनेवालों को हाथ ह...