Friday, February 29, 2008

zindagi pinjra,tu khidki koi

pinjre si zindagi mein
ek khidki si mil gayi...
khwabon ki manzilein
haqeeqat se jud gayi...
ek darr,ek aas
ek anjana ahsaas....
khushboo si ghul gayi,
thi saansein udaas...
mausam aya aisa ke
fikr saari dhul gayi,
pinjre si zindagi mein
ek khidki si khul gayi...

Friday, February 1, 2008

Manzil

bhaagti rahi main manzil ki or
raste mein kuch"Main"utar gayin...

jis rah se guzarte the kabhi
wo rah bhi aage guzar gayi...

manzil kya mili mujhe aine badal gaye...
waqt ke saath kyun maine badal gaye.

kayi wajehein hain rone ki
sirf gham ke kaaran kaun rota hai.

ant mein khud se milna ho
to beech mein bichhadna bhi hota hai....

ढाई सदी..

मुझे पता है तुम्हारी बालकॉनी से समंदर दिखता है... तुम हर खुशी के मौके पे दौड़के आते हो वहां; कभी कभी रोने भी... कभी चाहनेवालों को हाथ ह...