Thursday, April 5, 2007

registaan hai zindagi...manzil jaise mrigtrishna koi

yeh pyas kabhi bujhti nahin
registaan hai zindagi...
manzil hai jaise mrigtrishna koi...

tujhse koi baat chhupti nahin
nahin hai koi bandagi...
magar tu hai jaise khuda koi...

yaqeen bhi kya cheez hai,
buton se ummid karne lage hain log,
dhoondte hain un mein insaan koi...

Tuesday, April 3, 2007

tanha raat

tera khwab kyon pahnoon main
jab tu hi nazron se ise utaare...

dhool jam gayi hain rishton mein
chalo thoda saaf kare aur sudhare...

tu hi chand mein samaye
tu hi dhool mein mitaye
aisi uljhan mein kaise din guzaare...

badal hai jism ....
chhuan ki ek aanch se pighal jayega...
yeh dil bhi rooh talaq bheeg jayega...


aaj yahi bata de aye tanha raat
tu kab guzregi aur woh din kab ayega...

ढाई सदी..

मुझे पता है तुम्हारी बालकॉनी से समंदर दिखता है... तुम हर खुशी के मौके पे दौड़के आते हो वहां; कभी कभी रोने भी... कभी चाहनेवालों को हाथ ह...