Ek anchhui chhuan ka
ahsaas liye firti hoon
mere zakhm ka lahoo kisiki
aankhon mein ubhar ata hai..
aur mujhe
ajeeb sa lagta hai...
kya isi tarah bina chhue bhi
chhu leti hoon main tumko...
jaise dard choo jata hai..
shayad tumhe bhi
ajeeb sa lagta hai....
zahan mein tumhe bhar loon
to tanhayi ka ahsaas kahaan,
koi kahe tum paas nahin to
woh aadmi bhi
ajeeb sa lagta hai...
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
ढाई सदी..
मुझे पता है तुम्हारी बालकॉनी से समंदर दिखता है... तुम हर खुशी के मौके पे दौड़के आते हो वहां; कभी कभी रोने भी... कभी चाहनेवालों को हाथ ह...
-
Khud hi se na kaha magar 'Aaina' kya chhupayega, Ab tum tum ho, main main hoon kaha nahin jayega...
-
Dhoondh rahi thi "Aaina" kab se, Ab gham ka paigaam mila... Jo galti hum kar na sake, Usika aaj ilzaam mila... Rishte rukh...
-
sirhane mein sukoon tha itna ke aankhon mein khwab baraste the.. ab bhi kabhi luka chhipi karta tera chahra aa jata hai saamne....khil jati ...
Bah bah! Liked your about me the most!
ReplyDelete