main jalti thi us siski se
jo tere andar damakti thi,
jalti hoon us phool se bhi,
jo tere seene mein mahakta hai,
tujhi se jalti hoon main ke
maine khud ko bhi na chaha itna...
baarish ke paani se jalti thi
jo tujhe chhoon ke bheega tha...
un ansoonon se bhi jalti thi,
jo tere palkon mein gila tha...
dekhti thi teri taraf
to bas jalan hoti thi...
zindagi kitni shaant ho gayi,
ab jalan kahan hoti hai..
ab jalti hoon to bas maut se,
jo teri galion mein roti hai...
Friday, March 23, 2007
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
ढाई सदी..
मुझे पता है तुम्हारी बालकॉनी से समंदर दिखता है... तुम हर खुशी के मौके पे दौड़के आते हो वहां; कभी कभी रोने भी... कभी चाहनेवालों को हाथ ह...
-
Khud hi se na kaha magar 'Aaina' kya chhupayega, Ab tum tum ho, main main hoon kaha nahin jayega...
-
Dhoondh rahi thi "Aaina" kab se, Ab gham ka paigaam mila... Jo galti hum kar na sake, Usika aaj ilzaam mila... Rishte rukh...
-
sirhane mein sukoon tha itna ke aankhon mein khwab baraste the.. ab bhi kabhi luka chhipi karta tera chahra aa jata hai saamne....khil jati ...
Awesome!!
ReplyDeleteaajkal to teri kavita padh kar mujhe jalan hone lagti hai....
jalti hoon bas maut se...
na jane kyun aisi baatein tujhse sun-na achha nahin lagta...
phir bhi...
likha bahut achha hai
beautiful...
ReplyDeletekeep writing..
Khatarnaak lines hain yaar...
ReplyDeletetujhi se jalti hoon main ke
maine khud ko bhi na chaha itna...
kaash yeh main likh pata
ReplyDeletebahut achcha likha hai di!!